Cherreads

Chapter 7 - 07. Storm Effects

--- Dusri taraf Zoya Classroom mein hi thi jou thora pareshan bethi thi aur saath parh rahi thi.. Wahan Amna bhi majood thi jou shyd Zoya ki wajah se hi bethi hoi thi kyun ke woh dono best Friends hain. Phir uss ki nazar Zoya ki taraf parti aur uth ke uss ke pass aajati.

Amna: Kya howa Zoya? Kis baat se pareeshan ho? Kahin uss transfer student.... kya naam tha!!? Ohh han, Aslam. Uss ko lay kar tou pareeshan nahin ho?

Zoya: Nahin main uss baat par nahi pareshan, Par han their is something strange about Aslam.

Amna: Something nahi... he is totally a strange psycho person. Dekho na, kaise aaj aaya new student ke tor par aur puri class mein tamasha laga diya. Zaror kisi moti aasami ka bacha hoga jou yun terms ke darmeyan mein aagaya jab ke papers mein kuchh months hi baaki hain aur to aur tumharay boyfriend ke saath bhi panga liya.

Zoya: Boyfriend? (she blushed) Amna aisi baat nahi, pagal ho kya? woh tou bas, he saved me so aise hi dosti ho gyi uss se..

Amna: Han, Han, mujhy sab pta hai. Tab hi har time usse dekhti rehti ho. Achha suno, mujhy na aik baat karni thi..

Zoya: Kaisi baat? bolo.

Amna: Woh Hamza nahi.. Akram ka bestie, Uss se maine unintentionally panga le liya.

Zoya: Panga aur tumne? Tum tou apne aap mein rehni wali uss se kahan tumhari takrar hogyi?

Amna: Kal hi, jab woh kuchh larkiyon ko lunch pe le ke gya tha, unfortunately, main bhi wahin majood thi aur bay-dehani mein uss ki taraf nazar pari tou mere paas aagaya aur maine usse 'Cheap' bol diya. Aaj subah bhi jab main aayi tou meri taraf hi dekh raha tha. unintentionally uss ki attention seek lar li. ab main kya karoon?

Zoya: Direct hi cheap bol diya... kya kehne... manti hon tumhein yeh sab chhechorpan pasand nahi par aise tou nahin kehna chahiye tha

Amna: I know, i know. bola na... unintentionally hogya. Woh tou shukar hai School year ke start mein hi class girls ko dekha diya tha main kon hon 'The black belt master' kisi ne uss event ke baad panga nahi liya warna meray saath bhi tumara wala scene hojata shyd.

Zoya: Hehehe, Lucky you... par ab kya socha hai?

Amna: Sochna kya hai, mujhy pta hai Hamza aayega zaror jis tarha woh mujhy dekh raha haina tou bas uss ke move ka wait kar rahi, ussi time dekhi jayegi kya karna... filhaal blank hon. kuchh samjh nahi aaraha.|

Zoya: Hmmm... main kya kahon ab.. good luck hi keh skti.. hehe (baat jaari rakhty hoye) par Amna aaj aik baat notice ki ke there is something about Akram, like he is in pain jab se woh Aslam aaya hai kuchh zeyda hi ajeeb body gesture hogye thy Akram ke

Amna: Tumhein tou har aik mein there is something lagta hai. par han about Akram you are right! Main bhi notice kiya kuchh zeyda hi ajeeb sa body gesture tha uss ka jaise aik dam uneasy hogya hon Aslam ki majoodgi se.

Zoya: Han na aur sunno agar yeh something nah hota tou aaj hum saath nah hoty. (hehe) mujhy dukh hota hai Akram ko aise dekh kar. Bas issi wajah se pareeshan thi aur shyd mujhy idea bhi hai woh aise kyun hai iss liye jab bhi uss se milti hon tou main khush rehti ke woh bhi khush rahay.

Dusri taraf Akram aur Hamza canteen mein majood thy, Aur wahan kuchh khanay peenay ka saaman lene ke baad woh wahin beth jaty. na ke bahar ground mein, kyun ke bahar tufani barish ho rahi thi.. Dono wahan baat karty.

Hamza: Han tou kya baat karni thi tumne?

Akram: Well, bro.... Pechhlay kuchh dinon se meray saath kuchh ajeeb se waqiyaat ho rahay hain! Aur ab tou mujhy dar sa lagne lga hai, Aise lgta jaise kisi aanay walay tuhfan ki taraf ishara kar rahay ho yeh waqiyaat.

Hamza: (Herangi se) Kaise waqiyaat? Main samjha nahin... Sab khairiyat tou haina ghar pe aur maa?

Akram: Han ghar pe sab theek hai aur Maa bhi... un waqiyaat ka taluq meri zaat se hai.. ajeeb si feelings aa rahi hain aur aaj yeh Aslam out of nowhere aaya aur uss ki majoodgi bhi uss khoofnaak feeling ko trigger kar rahi thi don't know why?

Hamza: jigar... wait a minute.. mujhy kuchh samjh nahi aa rahi tum keh kya rahay ho? Kaisi feelings... Aur Aslam ka iss sab se kya taluq hain? Sahi tarha btao. Tumne mujhy pareshan kar diya hain..

Akram: Main khud itna confused hon, Proper explain karna meray liye bhi boht mushkil hain. kuchh samjh nahi aa rahi ye sab ho kya raha hai..! Achanak se chakar aane lag jaty aur aankhon ke saamne unknown events aajaty..

Hamza: Unknwon events, mtlb? Bhai tu mujhy ab dara raha hain.

Akram: Tum sunn ke dar rahay ho meri soch. Main khud nahin janta ke kya hain woh events. Aise lgta jaise main un lamhon mein jeeya hua hoon par woh lamheim meri yaadaash ke mutabiq unknown hai... it's hard to explain...

Hamza: *Sigh* hard to explain? Bro, it's even harder to digest. Mujhy aise lag raha jaise out of the world koi fantasy bta rahay ho. (Kanpatti khujatay hoye) khair, tenion na lay karty hain iss ka kuchh.. Try karta hon pta laganein ki ke kya hai yeh sab specially uss lafangay Aslam ka kya taluq iss sab se (Itne mein break khatam hone ki bell bajj jati hai) hainnn... Aaj break jaldi khatam nahi hogyi?

Akram: Han... shyd mausam ki wajah se. Probability aaj jaldi chhutti hojaye.

Hamza ka Amna se milne ka plan cancel hojata kyun ke aik tou Akram ke saath hone walay ajeeb waqiyaat jou ke ab Hamza ko bhi confusion mein daal chuka tha aur uper se jaldi break ka khatam hona.. Break ke baad saray apni apni classrooms mein chale jaty. ---

More Chapters