Cherreads

Meri bachpan ki kahani. (part-1)

Main jab chhoti thhi tab bahut sari pareshani ka samana kiya. Usme se ek tha mere papa ka sharab pina vo hamesha sharab pikar aate the Or mummy ko marte the lekin hamlog se bahut pyar karte the lekin nasa ke karan hamlog ka koi baat nahi sunte the iske karan mummy papa ko chhod ke chal jati thi lekin papa kabhi nahi sun the. Mujhe or meri mummy ko galat samjha jata tha kyunki hamlog hamesha papa ko bolte the ki vo sarab na piye. Mere or meri mummy ke chehre par bahut tana mara jata tha main bahut sidhi kisi ke baat ka jawab nahi dete the. Ghar mein roj tamasa hota tha kabhi kabhi apne kismat ko koste the lekin kismat ko kos kar kya hoga. Hamne har nahi mana magar kya kare kuchh samajh mein nahi aa raha tha agar mummy nani ke ghar chal jati to papa vaha se bhi unko le aate the. Kai baar papa ne vada kiya tha ki vo sharab nahi piyenge lekin kuchh din ke baad phir se vahi kaam karne lagte mummy chhip chhipa kar unke khane mein nasa na karne wala dava bhi deti lekin unko pata kuchh time ke baad pata chal jata tha or pata hai kaise kyunki vo kuchh din tak sharab nahi pite the tab unhe sak hone lagta or jab bhi vo kha na khate usse pahle mummy ko khilate the halanki mummy par uska side effect nahi hota tha. Magar ek aisa sankat aane laga jisne hamari puri jindagi badal diye hamlog janege agle part mein.

Thankyou.

More Chapters