Cherreads

Chapter 2 - chapter : 1

Andhkar ka yug

Bahut purani baat hai, Mathura nagri mein raha kans ka shasan tha. Kans ek kathor aur nirdayi raja tha. Uske raaj mein log darte the, khushiyan kam aur zulm zyada tha.kans ko apni Shakti par bahut ghamand tha.

Ek din kans ki behen Devaki ka vivaah Vasudev se hua.vivaah ki baad jab kans devaki ko Rath par bitha kar ghar le ja raha tha, tab Achanak aakash se ek bhavishyavani hui:

"Hey kans! Devaki ka aathvan Putra teri mrityu ka kaaran Banega."

Yeh sunte hi kans ka chehra kaala pad gaya.

Bhay aur gussa uske mann Main bhar gaya.

Usne turant davaki ko maarne ka nirnay le liye, Lekin vashudev ne use roka. Vasudev ne vachan diya ki Devaki ke har bachche ko kans ke saamne laa kar dega.

Kans ne Devaki aur Vasudev ko kaid kar diya.

More Chapters