Aaj mai aap logo ko apni life ke bare me bataugi . Hmm mai apne ghar ki badi beti hu apne sister's ki badi bahen. Badi bahen Matlab maa Saman likin mujhe lagata hai sayad mai nhi hu kyuki mere sisters ne aaj tak mujhe kabhi wo respect nhi di. Unko bas khud se Matlab hai. Kaya badi ya bada hona koi gunah hai? Jaise desh me kuch galat ho to Modi ji jimedar hote hai wase hi hamre ghar me kuch ho to ham jimedar hote hai. Kaya koi bhi galti kare to bade hi kyu jimedar hote hai kabhi choto ko kyu nhi kuch bola jata hai. Kaya ham bade hai isiliye? Agar chote acha kaam kare to maa baap badi bahen ki tarif kyu nhi karte hai ? Ha likin jab chote kuch galat kar de to badi bahen ki den hai badi bahen ne hi badawa diya hai ussi ne ukasaya hai . Kyu yrr aisa kyu hota hai ? Kaya kare jisse Mummy Papa ko lage ki badi bhen bhi achi hai ? Kyu hamare sath aisa hotA hai kaya ham bade bhai ya bahen itne bad hote hai ?
