Brahmacharya ke paalan aur veerya raksha ke liye saatvik ek param aavsyak aadhaar hai. Saatvik bhojan taaja, halka, kam masalo wala prakritik aahar hota hai .
Jaise mausami fal, Sabjiyaa, doodh, ghee, aur anaaj tatha sookhe meve aadi sudh bhojan man ko saant karke veerya ki Raksha
karne me sahaayata pradaan karta hai.
Uttejak bhojan jaise,,, basi bhojan, lahsun-pyaaj aadi nhi karna chahiye. Brahmcharya Ke Path per chalne wale sadhak ke liye Aahar Keval Sharir ke poshan ka MMadhyam nhiHai balki yah Man Ki Shuddhi aur indriy nigrah ka Aadhar hai. Bhaartiy darshan ke anusaar "Jaisa ann vaisa man" arthaat Ham Jo khate Hai Vahi Hamare sukschm vicharo Aur pravrittiyo Ko Aakar Deta Hai Saatvik bhojan vah hai jo Satva gud " pavitrata Shanti Aur spastta "Ko badhata Hai.
"SAATVIK AAHAR KA DARSHAN AUR VAIGYANIK AADHAAR"
Aayurved aur Bhagwat Geeta ke anusar Aahar teen shreniyo Mei vibhajit Hai "Satvik ,Rajsik aur taamsik"
"SAATVIK " yah Aahar taaja , rasila ,Halka aur supachya hota hai. yah man me Shanti Karuna aur ekagrata Paida karta hai.
"RAAJSIK" Jo bhojan atyadhik Kadva ,Khatta, namkin, bahut garm ,Teekha rukha aur Jalan Paida Karne Wala hota hai vah Rajas kahlata Hai yah bhojan Dukh ,Sok aur Rog utpann karne wala Mana gaya hai.
"TAAMSIK " Jo bhojan adhpaka, rash rahit, durgandhyukt ,baasi, jootha, apavitr hota hai taamas arthaat taamsik bhojan kahlata hai. Taamsik bhojan ka mukhya uddeshy keval pet bharna Ya indriyo Ki nishkrist Pyaas bujhana hota hai yah sadhak ki Vivek, Buddhi ko nast kar deta hai. aadhyatmik Marg per chalne wale ke liye yah jahar Ke Saman Mana Gaya Hai Kyoki yah Man Ko urdhvagami Hone se rokata hai.
"SAATVIK BHOJAN BANANE AUR KHANE KE NIYAM"
"Taajgi" Satvik bhojan Hamesha taaja Hona chahiye. pakane ke 3 ghante ke bhitar bhojan kar lena chahiye Iske bad bhojan apni Pran Urja Khone lagta hai aur tamsik ho jata hai.
"Pavitrata aur swachhata" bhojan Banane se pahle snaan karna aur swachh vastra dharan karna anivarya hai Rasoi Ghar saaf Suthra aur hawadar Hona chahie.
"Bartano ka Chayan" Mitti ke bartan Pital ya Kanse ke bartan Satvik bhojan ke liye sarvottam Mane Jaate Hain aluminium aur non stick bartano Se Bachana chahiye Kyoki ve vishaile Tatv chhodate Hai.
"Masalo ka simit prayog" masale Me Keval jeera ,Dhaniya ,haldi, adrakh, sendha Namak aur kali mirch Jaise pachak masalo ka prayog Kare. Lal mirch Garam Masala aur Rai se bache.
"BHOJAN KARNE KE NIYAM"
"Bhojan se purv Prathna" bhojan karne se pahle annpurna ji ka Smaran Kare tatha bhojan Prasad samajhkar grahan Kare
"Maun rahakar bhojan" bhojan karte samay baat karna, TV dekhna ya mobile chalana varjit Hai .Jab aap maun Rahte Hai To aapki Puri Urja pachan per kendrit hoti hai aur aap bhojan ke Swaad aur Matra ke Prati sachet rahte hai.
Chaba Chaba kar khana" Ayurved Mein bataya gaya hai ki manushya ko 32 bar bhojan Chaba Chaba kar khana chahie .isse pachan Kriya acchi hoti hai aur gas aadi ki problem Nahi Hoti hai.
"Varjit pdarth" pyaj ,lahsun, Teekha ,chatpata, Basi ,Jala hua ya atyadhik garm khana ,Maida ,Safed Chini Aur mansahar Ka Tyag Kare Kyunki ye Kamvasna aur uttejana badhate Hai.
"Bhojan ki matra" pet Bhar Kar Kabhi Na khae Hamesha Bhookh se thoda kam kkhae isseSharir Halka rahata hai aur aalsya Nahi Aata hai.
"Samay" Din me do Bar bhojan karna chahie
1,, subah 10 --1 baje ke bich
2,, raat ko 8 baje se pahle
Is samay bhojan karna uchit mana jata hai.
"BRAHMACHARI KI ADARSH DINCHARY"
"Praatahkaal " Taambe ke bartan me rakha paani piye.
"Nasta" Bhige hue badam tatha ek gilaas doodh ya thode ankurit moong ka sevan kare.
"Dopaher ka bhojan "chokaryukt aate ki roti, moong ki daal, ek hari sabji lauki ya taroi aur taaji chah.
"Saam ke samay" Koi ek fal ya naariyal ka paani.
"Raatri ka bhojan "dopaher ki tulna me bahut halka bhojan. Daliya ya khichdi uttam hai.
"Sote samay" yadi bhookha ho to Ek Cup gunguna doodh jismei Chutki Bhar haldi ya ilaaychi Ho Dhyan De Sone se kam se kam 2 ghante pahle dudh Piye.
"KABJ AUR BRAHMACHARYA " Ayurved ke anusar Veerya ki Raksha ke liye Pet ka saaf hona anivarya hai yadi aanton Me Mal Jama Rahega to vah Garmi Paida Karega Jo Sidhe jananaango ko prabhavit kartia hai.
"Samaadhaan " Faiber yukt bhojan kare paani ka adhik se adhik sevan kare tatha sote samay trifala ke choord ka sevan kare.
"NISHKARSH "
Brahmcharya ke liye Satvik Aahar Ek Tapasya Hai Shuru Mein jibh Swaad mangegi lekin 21 Dino ke nirantar Abhyas ke bad Sharir Khud Ko Dhal Lega. Saatvik bhojan se na keval kaameksha per niyantran paana saral hoga, balki chehra per ek chamak aur budhi me sthirta aayegi.
"Dhanyavaad"
"Radhe Radhe "🙏🙏🙏
