Waqt ki baat hai, jab main 21 saal ka tha. Woh meri zindagi ka ek aisa mod tha, jisne mujhe sahi mayno mein zindagi jeena sikhaya. Saal 2015 ki baat hai, mera parivaar aur main ek naye ghar mein shift hue. Usi dauran, maine shehar ke ek college mein apna admission bhi karwa liya tha.
Naye ghar ki khushi sabke chehron par thi. Ghar bada tha, isliye sabne milkar apne-apne kamre chun liye. Mere hisse mein second floor ka woh sukoon bhara kamra aaya.
Main apne naye kamre ki safai kar hi raha tha ki tabhi meri nazar ek kone mein padi purani kitab par gayi. Dhool jhaad kar dekha toh uske cover par bade-bade aksharon mein likha tha— 'Love & Life'.
Jaise hi maine us kitab ka pehla panna palta, meri dhadkan thodi tez ho gayi. Pehli hi line mein likha tha:
"Yeh kitab meri zindagi ke har raaz janti hai. Mera naam Tamanna hai aur main isi shehar ke *** college mein padhti hoon."
Main abhi uske baare mein aur padhna hi chahta tha ki niche se maa ki awaaz gunji—khana khane ke liye bulawa aa gaya tha. Maine bhari mann se kitab band ki, lekin dimaag mein sawalon ka toofan shuru ho chuka tha.
Kaun thi Tamanna? Woh kitab us band kamre mein kaise reh gayi? Aur kya uski likhi baatein meri zindagi badalne wali thi?
Doston, agar aap janana chahte hain ki us diary mein aage kya likha tha aur kya main kabhi us ladki ko dhoond paya, toh bane rahiye mere sath.
