Yah kahani 1960 ki Hai .ek Chhota Sa gaon tha manmohak Sundar dikhne wala gaon .dekhne se sab theek lagta tha per use gaon ki ek bahut khaufnak Raj thi. dekhne mai sab kuchh saral aur shandar lagta tha .tabhi ek shakhs gumte hue use gaon mai a Gaya uska naam tha Raman. vah kam ki talash mai use gaon mai Rahane Laga uska vyavhar bahut hi saral tha .use kam Mil Gaya aur vah ek bhale manushya ke ghar Rahane Laga use us gaon ke bare mai kuchh bhi pata nahi tha . Tabhi Raat Hui vah khana Pina khakar sone ja Hi Raha tha tabhi use ek khaufnak awaaz sunai Di Raman Raman Raman use Laga Koi mera naam le raha hai aur tabhi tabhi use ek saye ki awaaz sunai Di vah dar Gaya FIR vah wapas Apne Malik ke pass gaya usne kaha aapane mujhe Bulaya Malik Ne dhime shwar mai kaha Maine tumhe nahi Bulayap vah Dara nahi aur chup Raha usne socha uska vaham tha aur vah wapas jakar so Gaya. Vah so hi raha tha ki tabhi FIR Se vahi awaaz sunai di vah awaaz bahut Madhur thi Jaise koi pari Ho vah uth Gaya vah Apne kamre se bahar nikala . Usne vahan Kisi Ko nahin Paya usne ghadi dekha ghadi mein 12:00 baj rahe the vah dar Gaya usne pahle Kai kahaniyan Suni thi daravani vah use sochne Laga tabhi uska Malik uth Gaya aur usne use dekh liya. Malik Ne Raman se poochha Kya tumhen nind nahin a rahi hai Raman bola nahin main sone ja raha hun per vah Puri Raat so nahin Paya use Puri Raat Ajeeb Ajeeb awaaz a rahi thi. FIR vah subah uthkar apni Malik se poochha kya aapane koi awaaz sune Kun se kaisi awaaz Raman bola chikhane chillane ki awaaz hai Malik samajh gaya Malik Ne Raman se poochha Kya tumne yaha aane Se pahle is gaon ke bare mein nahi suna hai Raman ne bola bilkul bhi nahin usne use pure aadhe ghante Tak use gaon ke bare mein bataya Malik Ne use use gaon ke bare mein bataya ki yahan ek daravani awaazen sunai deti Hai yah aam baat hai vah awaaz ek Sundar yuvti ki hai jinhone apni aatmhatya kar li aur Aaj Tak uski atma hamare gaon mai ghumti rahti hai. Vah Sundar yuti hamare padosi ki Beti thi vah awaaz har Sundar yuvak ko sunai deti Hai aur vah awaaz jise bhi sunai deti Hai vah shakhs uska ho jata hai yah sab sunkar vah dar Gaya FIR Malik hansne Laga Malik bola main tumse majak kar raha tha Aisa kuchh bhi nahin Hai. Vah thodi der ke liye khush hua hi tha ki Malik Ne kaha yah Sach Hai use Laga Malik FIR majak kar raha hai aur vah uski baton per Dhyan nahi diya . Subah ke 9:00 baj rahe the vah kam karne ke liye ja raha tha rasta bahut sunsan tha jungali rahata tha janvaron pakshiyon ki aawajen sunai de rahi thi use Raat ki baat yad a rahi thi use dar lag raha tha fir bhi hua chalta Raha tabhi ek Sundar yuvti uske samne I vah use dekhkar achambhit Ho Gaya uski sundarta per vah Mohit Ho Gaya use ladki ne usse poochha kya tum mujhe apne sath aage tak le ja sakte ho. Raman Ne Bina kuchh soche use Sath chalne ko kah diya Puri raste baat karte ja rahe the tabhi usne use apni Raat ki bate use Bata Di vah hansne lagi usne apni Malik ki kahin baton ko bhi bataya vah FIR hansne lagi vah kam ki jagah mein pahunch gaya tha usne kaha Ham sham ko milte Hain aur vah apne kam mein Chala Gaya kam khatm ho gaya Raat ke 9:00 baj rahe the usi raste mein wapas Jana tha vah ladki FIR Mil Gai usne kaha Ham Sath chalenge ladka man Gaya FIR kya hona tha vah baat karte karte wapas chale Gaye Ghar wapas pahunch kar use pata Chala ki vah Sundar Yukti Koi aur nahi Malik ki eklauti iklauti beti thi usne usse kaha Main tumhare liye Puri rasta protection ka kam kar rahi thi to kya tum mere liye thodi der mere Sath use khaufnak awaaz ki Khoj karne Ja sakte ho jiski Tum baat kar rahe the main use janti hun use yah baat Ajeeb lage Raman Maan Gaya FIR vah vahan chale Gaye jab vah vahan pahunche tab use pata Chala ki vah ek khaufnak daravana khandhar Dhar tha vahan Koi nahin rahte the vah dar Gaya Magar usne andar jaane ki bare mein socha aur Ve donon andar chale Gaye.....
