Rat ke karib 12 bje the Vijay apni bike se sunsan jagah par ja raha tha charo taraf andhera tha or tej hvae chal rahi thi
Achank uski bike band ho gyi
Vijay ne kayi baar start karne ki koshish ki lekin bike chalu nahi hui
Usne mobile nikala network nahi tha usne charo taraf dekha usko dur ek haveli dikhai di tuti hui divare kali khidkiyan or charo taraf ajib sannata tha usne bahut baar aas pass dekha koi ni tha
Fir Vijay ne socha sayd vaha koi hoga to madad mil jae jese vah darwaja ke pass pahucha darwaja apne aap sarrr ki aavaj me khul gya Vijay dar gya lekin khud ko sambhala or undar sala gya undar pura andhera tha
Divaro pe jhale farsh par dhul or ek ajib si badbu achanak piche se darwaza band ho gya
Dhadam...
Vijay dar gya usne darwaza kholne ki koshish ki lekin vaha nahi khul raha tha tabhi upr se kisi ke chalne ki aavaj aai
Thak.....thak.....thak....thak...
Vijay ka dil jor se dhadkane laga kya koi h yaha usne jor se pucha koi jwab nahi aaya lekin aavj aai lekin is bar thodi tej Vijay dheere dheere sidiyo ki trah bdha har kadam par use esa lg raha tha jese use koi dekh raha h jese hi vah upar pahuncha use ek kamra dikhai diya jiska thoda darwaza khula tha undar se halki roshni aa rhi thi Vijay ne dheere se darwaza khola
Or jo usne dekha usse uske pero tale jamin khishk gyi kamre ke bicho bich koi khurchi par betha tha lekin uska chehra nahi dikhai de raha tha Vijay ne darte hue pucha kon ho tum vah aakriti khadi hui or gayab ho gyi Vijay jor se chilla utha tabhi piche se aawaj aai tum yaha kyo aaye Vijay ne piche mod kar dekha vaha koi ni tha..
