Cherreads

Yea Kahani hai meri part -03

Shivani_Singh_1615
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
156
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Yea Kahani hai meri part -03

Dusre din ek nayi shuruwat Hui. Mummy subah 4 baje uth kar kulla kiya, uske baad sabke liye chai banai. Mujhe dhoodh pilakar, mummy daadi aur dada ji ke liye dusre ghar chai leke gayi. Udhar humari cow, buffalo rehti hain. Unko chai dekar, mummy ne jaanwaro ko chara daala. Uske baad mummy ghar waapas aayi, mummy ko dekh kar me bahut Khush huyi. Fhir mummy ne mujhe godh mea liya, fhir mujhe pyaar se haath lagate huye sehlaya. Uske baad mummy ne mujhe chaar pai pe lita diya, fhir mummy apne ghar ke kaam mea lag gayi. Sabji ko paani se dhoya, fhir usko kaat kar banaya. Uske baad mummy ne aata lagaya, fhir chule par rotiyaan banai. Uske baad mummy ne apna jhaadu lagaya aur ghar ko whipe kiya. Meri mummy pura din bahut kaam karti thi, me chhoti thi toa unki help bhi nahi karwa sakti thi. Time dheere - dheere bitata gaya aur...