Aaj ayaan aur Ayera Dono EK sath class aaye ab unki dosti thodi strong ho chuki Thi dono ab aksar Saath baithte Saath Baat Karte class ke baad Ayera ne Kaha chalo thodi der bahar baithte Hain
Ayaan ne sir hila Diya
Dono campus ke EK quite corner mein bench par baith Gaye
Kuch der tak Dono chup rahe
Phir Ayera ne dheere se poocha
Ayaan..... Tum itna chup kyun rehte ho
Ayaan ne thodi der Socha....Jaise decide kar raha ho ke bataya ya Nahi
Bas aadat Hai usne halki Si awaaz Mai Kaha
Ayera ne uski taraf Dekha
Har aadat ke peeche koi reason hota ha
Ayaan ne pehli Baar uski aankhon mein seedha Dekha
Log zayada der tak Saath Nahi rehte usne dheere se Kaha
Isliya Main pehle hi door rehna pasand Karta hoon
Ayera ka dil halka Sa Bhar Aaya
Main alag hoon usne seedha Kaha
Ayaan thoda confuse Hua
Kaise
Ayera muskurayi
Main itni easily Nahi jaungi
Kuch pal ka Liya dono ka bich khamoshi chaa gayi par yeh khamoshi ajeeb Nahi Thi. Balki sukoon wali Thi
Door se Bell Baji
Ayaan khada Hua par is Baar uske chehre par halka Sa smile Tha
Jaise usne Kisi par thoda Sa trust Karna shuru kar Diya ho
Aur Ayera bas use dekh kar muskura rahi thi
Shayad yeh dosti ab kuch our banne wali Thi
