Cherreads

<100

SHEKH_MD_SAHIL
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
114
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Ek ladke ki chhoti kahani chapter 02...

Ham logo ne pichhle chapter me ye jana tha ki Aaladin apna Ghar chhod kar bahar phir se padhne aaya hai . Sab ko naraz kar ke to ab ham aage chalte hai chapter 02 me aur dekhte hai aage Aaladin ke sath kya kya hota hai kya wo aage kuchh kar payega ya wo sab ki tarah pichhe chhut jayega . To ham suru karte hai . Aaladin ab University me padhta hai aur wo apna sara kharch uthane aur apne papa pe bojh na banne ke liye bade Shahar me ke achhe si job khojta hai per usko koi bhi achhi job nahi milta . Eske chalte wo thak haar ka ek jagah baith jata hai aur mayush ho jata hai wo sochta hai kya mai apne papa ke uper ek bojh kar rah jaunga kya hai kuchh nahi sakta . Wo ye sab soch hi rha hota hai ki tabhi achanak se uska call bajta hai . Aur Aaladin jab call dekhta hai tab wo call uski Maa ka hota hai . Aaladin jaldi se us call ko recieve karta hai aur apni maa se baat karta hai . Tabhi uski maa ghabrahat bhari aawaj me rite huye bolti hai ki tumhare papa ki tabiyat achanak se bahut jada kharab ho chuki hai . Unko abhi bahar se laya ja rha hai . Tum bhi jaldi se ghar aa jao . Mujhe bahut dar lag rha hai beta . Pata nahi kya hoga ab hamara ager tumhare papa ko kuchh ho gya to . Tab Aaladin bolta hai maa daro mat papa ko kuchh nahi hoga . Mai abhi aa rha hu Maa . Tum papa ko lekar hospital chali mai sidha hospital aa rha hu . Aaladin ki Maa apne husband ko le kar hospital le jati hai aur hospital me bharti kar deti hai . Tabhi Aaladin hospital pahuchta hai aur apne papa aur maa se milta hai aur apne papa ko bolta hai ki papa aap dariye mat aapko kuchh nahi hoga . Yah hospital bahut achha hai aur yaha ke doctor bahut ki kabil aur hoonhar hai . Ye log aapko kuchh nahi hone denge . Uske baad Aaladin ke papa ko check up ke liye le Jaya jata hai . Aaladin aur uski Maa ke ander ek gahra santi aur dar bhara hua hai . Aur wo dono uper wale se pray kar rhe hai ki unko kuchh na ho . Aise hi 2 hours bit jata hai . Aur unka check up ho jata hai . Aur unko la kar bed pe shift kar diya jata hai . Usme baad unka report 1 hour baad aata hai . Tab wo report le kar doctor ke pass jate hai . Wo report doctor ko dete hai . Doctor report ko dekh kar bata hai ki inko ek aisi bimari hai jo 100% logo me se sirf 5% logo ko hi hota hai . Inko ye bimari sirf body se jada mehnat karne ki wajah se huyi hai . Ab ek hi rasta hai inko bachane ka nahi to inko bachana namumkin hoga . Tab Aaladin kapti huyi aawaj me doctor se puchhta hai . Doctor sahab jaldi bataea mai apne papa ko kaise bacha sakta hu . Tab doctor bolta hai ki ab se inko apne body se mehnat wala kam nahi hoga . Inko khane pine ke jada se jada dheyan dena hoga . Aur mai kuchh medicine de rha hu jo inko time time se khana hai . Nahi to ye kabhi theek nahi ho payenge . Aaladin aur uski maa hospital se dawaiya le kar ghar chale aate hai . Aaladin apne papa ko Ghar pe aaram se chhod kar . Unke khane pine ke achhe saman lane ke liye bazar nikal jata hai . Bazar me pahuchte hi uski mulakat ek apne achhe dost se ho jati hai . Wo Aaladin ke bachpan ka dost tha . Aaladin us se milne pe bahut khush hota hai . Ab wo dono sath me bazar me saman lene chale jate hai . Aur chalte chalte Aaladin apne ghar ke halat aur apne papa ke halat ke bare me apne dost ko sab kuchh bata deta hai . Tab uska dost bolta hai . Dekh Bhai mai tera bachpan ka dost hu tu tension mat le mere se kaha tak hoga mai waha tak karunga Tera sath dunga baki sab uper wale pe chhod de sab theek hoga . Ye sab bolte huye uska dost ek aur baat bolta hai . Wo bolta hai ki uski shadi hone wali hai . Jis se tu pyaar karta tha . Ye sun kar Aaladin san pad jata hai uske hath aur pair kapne lagte hai . Aur wo kapti huyi aawaj me bolta hai . Yrrr aisa majak mat kar . Tujhe pata hai na ki mai us se kitna pyaar karta hu . Tu ye sab majak mujh se mat kar . Tab Aaladin ka dost bolta hai ki Mai majak nahi kar rha hu sach me uski shadi ho rhi hai . Ager tujhe mujh pe yakin nahi hai to kisi se bhi puchh le kal uski shadi hai . Aaladin ye sab baaten sun kar Puri tarah se toot jata hai . Aur rone lagta hai . Aur bolta hai ki yrr ye sab mere sath hi kyu hota hai . Ek taraf mere papa ka tabiyat kharab hai aur dusri taraf uski shadi . Ek taraf family hai dusri taraf pyaar . " Aapko ek baat batata hu aksar pyaar karne wale yahi pe haar jate hai . Jab unko family aur pyaar ke bich kisi ek ko chunna padta hai . Aksar log apne pyaar ko chhod kar family ko chunte hai " . Aur us ladki ne yahi kiya wo apne pyaar ko chhod kar apne family ko chunti hai . Aur uske ghar Wale uski shadi ek achhe ghar me laga dete hai . Tab Aaladin bazar se saman le kar ghar pahuchta hai . Aur apne papa ko dekhta hai aur sochta hai ki papa ne mere liye bachpan se itna kuchh kiya hai mere liye kya mai apne aap ko badal nahi sakta apne papa ke liye . Aur Aaladin khud se ye wada karta hai . Ki mai ab se apne papa ka achhe se kheyal rakhunga aur achhi si naukri dhundhunga aur sab kuchh sahi karunga . Aur aisa hi hua Aaladin ne ek achhi si job bhi dhundh lu aur uske papa bhi theek ho gye . Aur usne apne ghar ke halato ko bhi sudhar diya . Uske ghar pe sab koi khush rahne lage aur Aaladin apne maa aur papa ko haste huye dekh kar man hi man me bahut khush hua . Aur ye kahani yahi pe khatam hoti hai... To aap logo ki ye kahani kaisi lagi batana jarur.

Aur follow bhi kar lena..

( Wo kahte hai na ki karma laut kar jarur aata hai kahi nahi jata bs sahi samay pe aata hai..)

Wahi hua tha Aaladin ke sath....

Mai to bs itna hi kahunga aap ye duniya ke chakkar ko chhodiye aur apne carrier pe focus kijiye aur apne family pe dheyan dijiye . Aapke Ammi Abbu aur ghar ke sare person ko aap se kayi sari ummede hongi..

Aap sab aisi koi galti nahi kijiye jis se aap apne ammi abbu ke nazro se ghir jaye ...

Thank for reading this story.....👈