Cherreads

Chapter 1 - PANCHAK THE WORST DAY FOR DEATH

Panchak hindu puran ke anusar mrityu ka sabse ashubh samay mana jata hai panchak tab lagta hai jab chandrama in panch nakshtro se hoar gujrata hai ye panch nakshtr hai dhanistha, shatbhisha, purvabhadrpad, utrabadrpad, aur revati in panch nakshtro me se chandrama ke gujrane ko panchak kahte hai.

Panchak ki manyata :-

Hindu puran aur jyotish ke anusar panchak me kuch kam ashubh mane jate hai jaise ki ghar ki chat banvana, lakdi ikattha karna, west disha me yatra karna, charpai banvana, antim sanskar.

Lekin agar kisi ki iss nakshtr me mrityu hui ho to uske bhi antim sanskar ke kuch niyam hote hai agar koi inn niyamo ka palan na kare to uske ghar ya paas pados ya relation's me se kisi panch logo ke mrityu hone khatra hota hai mai janta hu ki aap logo ko meri baat andhviswas lagti hogi par iss duniya me sab hota jaha aap bhagwan ko mante hai to shaitan ko bhi manana hoga agar aap nhi bhi mante hai to bhi koi fark nhi padta kyoki jo hai vo hai usse koi fark nhi padta chahe aap maane ya na maane.

Hii mera naam Adarsh hai mai aapko hindu shashtr ke anusar uss samay ki kahani sunane ja rha hu jise kisi ki bhi mrityu ke liye sabse ashubh samay mana jata hai.

Hello dosto mai aapko ek real story batane ja rha hu agar aapka dil kamjor hai to kripa karke story ko back karde.

Ek chhayapahad naam ka gaon tha uss gaon me sabhi log miljulkar aur khushi se rahte the usi gaon ek sahu parivar rahta tha vah bhut dhani aur dani kism ke the unko logo ki madad karna aur garibo ko dan karna bhut bhata tha ve swabhav ke bhut acche the unhone uss gaon me kai mandir aur dharmshala bhi banvai thi usi gaon me ek jugnu naam ka sharabi vyakti bhi rahta tha vah aay din sharab pikar kisi na kisi se gaon me ladai jhagada karta rahta tha gaon ke logo ne bhut bar sahu parivar se iske bare me kaha aur madad ki gujarish ki ki usko samjhya jaye ya usko gaon se dur police station me de diya jaye lekin jugnu ki aage sahu parivar ki ek na chalti ulta vah unhe hi apshabd suna deta tha ek din sahu parivar ne police ko phone karkar jugnu ko police ke hawale kar diya .

Ab mai apko kahani me thoda pichhe le jata hu uttar bharat ki bich ek gaon tha jo bharat ke nakshe me bhi darj nhi tha log kahte the ki jo uss gaon me gaya vah dobara laut kar nhi aaya.

Yaha har mahine me panchak ke panch din alag sa mahaul bana rahta hai jaise ki suraj ka der se niklna , aur rat ka jaldi hona , aur kutto ka bina vajah hi rona ya chillana yahi nhi panchak ke iss panch dino me koi na koi marta jarur tha .

Gaon ke bujurg kahte the ki ye sirf maut nhi balki ginti hai jo poori hokar hi rukti hai .

Ek din ki baat hai sahu parivar ke varisth ya bujurg ramlal ji ka pota yani ki unke bade bete shyam ka ladka abhay aaya vah apne dada ji ki jamin dekhne aaya tha vah sahar se kaam sikhkar aaya tha aur gaon me factory start karne ki soch rha tha .

Vah isi maksad se sahar gaya tha ki kaam sikhne ke baad vah apne gaon me factory shuru karega jisse gaon ke logo ko rojgar bhi milega aur unke gaon ki unnti bhi hogi .

Shayad ittifak hi tha ki usi din gaon me panchak lagane vala tha gaon valo ne use bhut samjhya aur chetavani bhi di ki vah aaj rat me hi yah se chala jaye kyoki aaj se hi panchak shuru ho rha hai aur yaha aaj kisi bhahari ka rukna khatre se khali nhi hai lekin abhay ne kaha kaise bahar ka mai to isi gaon ka hu to logo ne kaha bete ham janate hai ki tum isi gaon ke ho par tum bachpan se hi sahar me rhe ho isiliye chale jao .

Abhay ne uss baat mo majak me lekar hasne laga aur kaha ki yah sab andhviswas hai aap log iss andhviswas se bahar aao lekin usko kya pata ki vo aaj iss gaon me rukkar apni jindagi ki sabse badi galti kar raha tha .

Pahli maut panchak shuru :-

Abhay vapas na jakar apne dada ke bangale me gaya uss gaon me uske dada ka hi ek matr bangala tha vah bhut sundar aur manmohak tha .

Jab abhay apne poore parivar ke sath dinner karne ke liye dining hall me aaya to usne bahar kuch shor suna.

Bahar kuch log shor macha rhe the tabhi ramlal ji ne ek vyakti se pucha kya hua vyakti ne kaha malik panchak shuru ho gaya itna sunte hi ramlal ji ka chehra pasine si bhig gaya unhone apne poore parivar ko bulaya aur kaha ki dinner karne ke baad ham sabhi hanuman chalisha ka path karenge .

Shyam ne pucha kyo dada ji ham itni rat ko hanuman chalisha ka path kyo karenge .

Dada ne kaha panchak shuru ho gaya hai aur iss ashubh ghadi se bachne ke liye hame sankat mochan hanuman ji ki chalisha ka path karna hoga . Abhay ne kaha ki aaj bhi aaplog inn andhviwas ki bato par bharosa karte hai mai nhi a rha mai itni dur se safar karkar thak gaya hu mai to sone ja rha hu. Itna kahkar abhay apne room me sone ke liye chala gaya uske jid ke aage uske gharwalo ki ek na chali phir bhi uske gharvalo ne uske kamre me ganga jal ka chhidkav kiya aur hanuman ji ke naam se panch agarbatti jala di .

Magar abhay ko agarbatti ki sugandh se chid ho rhi thi isiliye usne agarbatti ko khidki se niche phek di aur so gaya .

Uss rat to uske sath to kuch nhi hua agle subah jab vah apne dada ji ke sath kheto me tahal kar jamin ka muaayana kar rha tha tabhi ek shav ko lekar kuch gaon bole bolte hue ja rhe the ...

Tabhi ramlal ji ne ek vyakti se pucha kaun hai yah malik yah hariya kisan hai kal rat iski achanak se maut ho gayi .

Ramlal ji jaan gaye ki yah maut kaise hui unhone abhay ke samne kuch nhi bola aur ghar ki taraph chal diye .

Uss din me bhi abhay ke sath kuch nhi hua din me lunch kiya gaon ghuma , use gaon ghumte ghumte sham ho gayi vah apne bangale ki taraph chal diya bangale me jakar vah apne room ke bathroom me fresh hone gaya .

Vaha se fresh aur naha kar vah bahar dining hall me aaya dinner karne ke liye usne apne poore parivar ke dinner karne ke baad apne room me sone ke liye chal diya kyoki aaj vah poora gaon ghumkar bhut thak chuka tha aur sone ke liye apne kamre ke taraph chal diya .

Abhay jab apne kamre ke bed par leta tabhi use apne kamre me band hawavo ki bich kisi ke phusphusane ki aawaj aai jaise koi ginti kar rha ho Ek , Do , Teen , Char aur Panch itna kahane ke baad uske kamre ek ajib si hasi gujne lagi .

Abhay yah sab sunkar dahal gaya vah darkar apne kamre se bahar dining hall ki taraph bhaga dining hall ki sabhi lighte band thi abhay ne lights on ki par usne kuch aisa dekha ki vah saham gaya usne dekha ki uske dada ji mans kha rhe hai aur vo bhi itni rat ko abhay ne pucha dada ji aap ye kya kar rhe hai hamari family me to koi bhi mans nhi khata par dada ji ne kuch jawab nhi diya achanak se dining hall ki light band hokar on hui aur abhay ne dekha ki vaha koi nhi tha vah dining hall se bahar gya aur dekha ki gaon ko dhundh ne apne aakrosh me le liya hai ya jaise kahe ki poora gaon dhundh me sama chuka hai .

Abhay ki dar ke maare chikh nikal gayi aur jab usme aankh kholi to vah apne kamre me tha usne socha ki yah sab uska sirf sapana tha par usko kya pata ki panchak ne usko chun liya hai .

Dusri Maut aur Teesari Maut :-

Abhay ke sapne ya iss khaufnak manjar ke baad do din to bhut shant the magar do dino baad khabar aai ki ek kisan apne khet me mar gaya aur vahi usi kisan ke pados me ek baccha achanak mar gaya .

Ab tak teen maute ho chuki thi gaon ke logo ka kahna tha ki abhi ginti baki hai isi dar ke mare gaon ke sabhi log ghar se bahar nhi niklate the .

Ab abhay ko mahsoos hone laga ki koi use dekh rha hai aur koi uske sath hamesha chal rha haiya koi use chhup chhup kar dekh raha hai jaha vo jata ek kali chhaya usko apne piche aati hui dikhti hai .

Lekin jab vah mudta to vaha koi nhi hota aage ab abhay gaon ke sabse budheaadmi ke paas gaya usse janana tha ki yah kya hai aur uske sath aisa kyo ho rha hai ...

More Chapters