Cherreads

Pyaar ki kahani

SHEKH_MD_SAHIL
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
64
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Pyaar ki kahani....!!

Ye kahani ek ladka aur ek pyaari si ladki ki kahani hai.

Ladka jo bahut hi achhe ghar se be long karta tha. Uska family background bhi bahut achha tha.

Aur wo ladki bahut hi pyaari aur khubsurat thi. Ek pyaari si gudiya ki tarah.

Ladka aur ladki dono ek hi gao me rahte the .

"To chaliye us ladka aur ladki ki kahani start karte hai" .

* To ham baat karte hai ladke ke paida hone se start karte hai. Ladka jab paida hota hai to uske ghar Wale bahut khush hote hai . Kyu ki uske papa ghar ke bade bete the . Aur unka beta hota hai . To off course sab bahut khush honge . Kyu ki ladka paisa hone pe es liye khushiya manayi jati hai kyu ki aaj ke generation me ladka jab paida hota hai aur jab bada hota hai to Ghar ki sabhi jimmedari use hi de di jati hai . Aur sab kuchh sambhalne ko kaha jata hai .

Uske paida hone ke baad wo apni ammi ke sath 3 year hi rahta hai . Uske baad use apne nani ke ghar bhej diya jata hai . Uski Nani uski achhi dekh bhal karti hai . Aur uska achhe se kheyal rakhti hai . Jab wo 3.5 years ka hota hai tab uske Nani aur nana uska admission school me kara dete hai . Us time wo mota hota hai . Jab wo school Jana start karta hai . To use sabhi bachhe mota mota bol kar chidhane lagte hai . Uski wajah se wo school jada nahi jata tha . Wo rone lagta tha .

Uska padhai me bhi dil nhi lagta tha . Ek to apni ammi se dur rahta tha . Aur bachho ke tane sun kar bahut rota tha . Ye nahi ki uske Nana aur nani pyaar nahi karte the .

Balki uske Nana aur nani us se bahut pyaar karte the . Per wo apni ammi ko bahut miss karta tha . Dhire dhire time gujarta gya ladka bada hota gya uske abbu bahar kamate the . Aur uski sabhi jarurat Puri karte the . Sab koi is se ye espect rakhte the ki ye achhe se padhega . Aur eske marks achhe aayenge . Per eske marks achhe nhi aate the .

Jab ladka 7th class me gya tab uske marks achhe nhi aaye the

Aur uski ammi ne uske bahut data .

Wo padhai ko lekar darta tha . Aur us time uski ammi uske sath rahti thi . Aur abbu bahar rahte the .

Dhire dhire waqt gujra aur wo 10th me chala gya . Tab use ek ladki pashand aayi . Wo ladki ko bahut pashand karta tha . Per us se bol nahi pata tha bahut darta tha bolne se . Wo ladki usko pashand nahi karti thi . Wo ladka us se baat karne ke liye dusro ki help leta tha . Baad me ladki ko bhi ladka thoda thoda pashand aane laga . Tab ladka ladki ko number deta hai baat karne ke liye .

Ab dhire dhire un dono me baate hone lagi . Pyaar badta gya . Aur achanak se ladke aur ladki ke ghar pe in dono ke bare me pata chal jata hai . Ladke ko samjhaya jata hai . Aur ladki ko bhi samjhaya jata hai . Phir kuchh din baat band karne ke baad phir se baate karne lagte hai .

Aise hi pata nahi kab 2 years kab bit jata hai malum hi nahi chalta . Ab ladki ke ghar wale ladki ko padhne ke liye ghar se dur bhej rahe the .

Tab ladki us ladke se bolti hai ki ab mai ja rhi hu mere Ghar wale mujhe padhane ke liye dusri jagah bhej rahe hai .

Ladka emotional ho kar bolta hai . Mat jao na ruk jao na mere pass . Tab ladki bolti hai mai aaungi jarur tumhare liye intezaar karna mera . Aur ladki chali jati hai . Tab ladka bahut hi rota hai aur mayush rahne lagta hai aur akela bhi ..

3 month baad ladka apne dada ke ghar jata hai aur usko ek ladki pashand aa jati hai . To us se baat karna chahta hai . Wo uske apna bhi deta hai . Per wo ladki uska number nahi leti hai . Aur bolti hai ki mai aapse baat nahi karungi . Kuchh din baad phir se wo number deta hai tab ladki ki friend ladki se bolti hai ki number le lo . Aur ladki apni friend ke baato me aa kar number le leti hai . Aur wo dono baate karne lagte hai .

Ladka phir se relationship me aa jata hai . Aur khush rahne lagta hai . Aur ladki se sacha wala pyaar karne lagta hai . Aur ladki bhi us se pyaar karne lagti hai .

Lekin ladka bahut hi saaf aur achhe dil ka tha wo kisi ka bhi bura nahi sochta tha . ( Aap logo ko lag rha hoga ki ek ladki ko chhod kar dusre se baat kar rha hai aur mai usko saaf dil ka bol rha hu . Mai Aisa kyu bol rha hu ye aap sab aage kahani me pata chal jayega . )

Ladka us ladki ko apne pahle pyaar ke bare me sab kuchh bata deta hai . Taki usko kahi aur se pata na chale aur usko takleef na pahuche . Ladki bhi bahut hi pyaari thi wo ye sab janne ke baad bhi wo ladke ko exept kar leti hai . Aur bolti hai ki ab mai aapke sath hu . Mai aapko bahut pyaar karungi . Ab aapke sath aisa kuchh nhi hoga jo aapke sath past me ho chuka hai .

"Mai aapko bata du ki ladka jis se pahle pyaar karta tha wo ladki usko chhod ke chali gyi thi . Ladke ke time me bahut hi bura hua tha . Es liye eska dusra pyaar yani ye ladki bolti hai ki ab aapke sath kuchh galat nahi hoga mai hamesa aapke sath rahungi . Aur ha kahani ke start me jis pyaari ladki ke bare kaha gya hai wo es ladki ke liye use Kiya gya hai . Uske liye nhi jo chhod ke chali gyi hai" . )

Ab in dono me bahut pyaar ho jata hai . Ye ladki se bahut pyaar karne lagta hai . Uski sari bate manne lagta hai . Aur ladki ki bahut parwah karta hai . Aur ladki bhi bahut samajhdar aur shushil thi . Ladki bhi eski bahut parwah karti thi . Eski chhoti chhoti baato ka dheyan rakhti thi . Aise baate karte karte 1 year nikal jata hai . In dono me baate ho rhi hai ye baate ladki ki friend uske ghar pe bata deti hai . Ladki ke ghar wale ladki ko bahut marte hai . Phone chhin lete hai . Aur baate nahi karne dete hai . Ladki kabhi kabhi ladke ke pass call karti thi . Ek din ladke ne puchh pahle to aap roj call karti thi ab kabhi kabhi karti thi Aisa kyu tab ladki batati hai ki Ghar pe sab ko malum chal gya hai ki mai aap se baat karti hu . Ladka ye baate sun kar dar jata hai ki kahi us ladki ko kho na de aur ye sab bate soch kar khamosh ho jata hai . Ladki uski khamoshi samajh jati hai aur bolti hai aap tension mat lijiye . Mai aapko itni aasani se nahi chhdungi . Mai aapse pyaar karti hu . Abhi ham dono ka time thoda sahi nahi chal rha hai . Ek din sab thik ho jayega tab ham pahle jaise baate karne lagenge .

Ye sun kar ladke ko thodi Rahat milti hai aur bolta hai . Ha jaldi hi thik hai jayega sab kuchh bs aap mera sath mat chhodiyega . Aur sach me sab kuchh jaldi hi thik ho jata hai . Aur unki baate phir suru ho jati hai . Aise hi 2 years ho jata hai .

Tab ladki ke ghar pe uski shadi karne ki baate chane lagti hai . Ye baate us ladke ko pata chal jati hai . Aur wo ander se pura hil jata hai . Aur ladki se bolta hai ki apne ghar wale se apni shadi ke bare me baat kare . To ladki uske baare me apne ghar walo se bate karti hai aur bolti hai . ki mai us se bahut pyaar karti hu . Ager meri shadi us se nahi hogi to mai mat jaungi . Wo apne ghar se lad jati hai apne pyaar ke liye . Lakin phir bhi us ke ghar wale nahi mante hai aur usko bahut marte hai . Aur usko kahi bhi aane Jane se mana kar dete hai . Ye baate ladke ko kahi aur se pata chal jati hai . Aur wo use khone ke dar se apne Ghar pe baate karta hai . Aur ladke ko bhi bahut mat padti hai . Kuchh dino baad ladki ka phone ladke ke paas dusre number se aata hai . Wo number pahchan nahi pata hai . Call receive hote hai ladki ki aawaj aati hai . Ladka aawaj sunte hi rone lagta hai . Aur dono ghar chhod kar bhagne ki baate karte hai . Phir wo dono ruk jate hai aur ek dusre se bolte hai ki ham dono to ghar chhod kar bhag to jayenge per unka kya jinhone hame janam diya hai aur pos pal kar itna bada kiya hai . Kya samajh wale inhe jine denge . Kya ham dono ke ammi abbu samaj ke samne apna sir utha payenge . Phir ladki bolti hai Ghar wale nahi manenge aur ham dono bhag bhi nahi sakte hai . Hamse aapke bina jiya nahi jayega . Ham jahar kha lenge . Sab thik ho jayega tab ladka usko bahut hi pyaari se samjhata hai .

Suniye aap aisi baate mat kijiye jahar khane wali . Nahi to hamse bura koi nhi hoga . Aap ke ammi abbu jaha aapki shadi kara rhe hai waha kar lijiye . Kyu ki wo aapke ammi abbu hai aapke liye koi achha ladka denge honge . Koi bhi parents ye nahi chahta hai ki uski beti ek berojgar ke hath me apni beti ka hath de . Aap waha pe sadi kar lijiye aur khush rahiyega . Aapko hamari Kasam hai . Tab ladki bolti hai ki ager mai sadi kar lungi to aapka kya hoga tab ladka bolta hai ki mai bhi Sadi kar lunga ... Wo ladki ko bahut manata hai waha pe sadi karne ke liye jaha uske ammi abbu uske sadi laga rhe the . Aakhir kar ladka ladki ko mana leta hai . Aur uski Sadi ho jati hai . Uske kuchh din baad ladka sucide kar leta hai aur ek latter chhod kar chala jata hai usme ladki ke liye likha hota hai...

( *Mai tumse bahut pyaar karta tha per ye uper wale ki marzi thi ki ham ek nhi ho paye per mai phir tumhara intezar karunga.... )

Es pe ek shayri hai :- Arz kiya hai.....

Ki filmo hi mil jati hai pyaar sabhi ko asaal zindagi me Aisa kuchh nahi hota . Ya banda marta hai jada kuchh nahi hota ....

Ye sab padh kar ladki rone lagti hai aur wo bhi sucide kar leti hai....

Aur dono ek hi jate ..

Ab aap sab koi pata chal gya hoga ki mai ladke ko saaf dil ka kyu bol rha tha ..... Sach kahe to ladka pure daimond tha per kismat ne uska sath nhi diya nahi to wo dono aaj sath hote....

Aisi hi story ke liye message kijiye ...

To aap sab koi kaisi lagi store roj