--- Akram humesha ki tarha SALAM ke saath ghar mein dakhil ho jata. par iss baar usse Maa ka jawab nah aata. Woh ghar mein idher udher dekhta aur...
Akram: (buland aawaz se) Maa...!! kahan ho? Kahan ho maa?!
Maa: (buland aawaz se) Beta..!! main neechy, store-room mein hoon!!!
Akram: (store-room mein pohnch ke Maa se kehta) kya kar rahi hain aaj aap store mein?! Main pareshan hogya tha.
Maa: Kuchh nahin, bas kuchh purani cheezein hai woh thekane laga rahin hoon. Aa kar madad karo. Woh jou box hai usse utha kar side par rakho.
Akram box ko uthata, aur box mein dekhta ke uss mein aik purani photo hai, jou ke half cutti hoi thi.
Akram: Maa yeh dekhein, box mein se mujhy kya mila, yeh photo! jis mein se yeh aap ho aur yeh main hoon. lekin baki ka hissa shyd kahin phhat gya hai.
Maa: (darti hoi awaz mein) ohh yeh photo? *Yeh tasweer yahan kya kar rahi* Han yeh tum ho jab tum 5 saal ke thy aur yeh main.
Akram: Aur baba? Baki ka hissa kahan photo ka?
Maa: Woh hissa.... shyd cut gya hoga, kafi purani haina. Kisi chuhey ne khaa li hogi (ajeeb andaaz mein aankhon mein ajeeb sa khoof) chalo chalo, kaam pe dehan dou! (baat badalty hoye)
Akram: Leki...n... ok maa!
Akram box rakh deta aur dusra saaz-o-saaman ko bhi set karta. (Store kafi bara tha) Akram ki nazar aik dam Store ke dusre corner par parti jahan pe kafi aandhera tha aur udher se usse chhoti si light nazar aati. Woh tajasus mein aagy jaa ke dekhta tou dewaar par ajeeb tareeqy se draarein bani hoi thi. draarein aise pheli hoi thi jaise ke koi darwaza bna ho. Akram ussi draar jahan se light nikal rahi thi uss ko haath lagta tou achanak iss ki aankhon ke samne teezi se flashbacks aanay lag jaty.
<< baba(blur face) going as if he was chasing someone, maa's screaming in despair, blast, the strange person in the Sky floating, thunderstorm >>
Aur behoosh ho ke girr jata. Girne ki awaz se Maa doorti hoi Akram ke paas jati aur usse utha ke uss ke kamray mein le jati. Saath hi saath uss draar ko bhi khoof se dekh rahi thi ke jaise kuchh janti ho.
(Next day) Akram ki aankh khulti aur waqt 06:05 AM hoye thy. Thora uthta tou uss ki nazar maa par parti jou ke bed ki side par chair par bethi hai, baazoo ko sarhana bana kar soyi hoi thi. Saari raat Akram bukhar mein rehta jis ki wajah se Maa uss ko thande pani ki patti karti rahi aur roty roty bar bar aik hi baat botli jati "sari meri galti hai. mujhy uss ka kuchh karna chahiye tha. sorry beta, i'm really sorry" iss duran soo jati qareeban 04:30 AM baje. Akram maa ko dekhta aur dekh ke pareshan ho jata kyun ke sari raat jagne ki wajah se Maa bemar lgne lag gyi thi, aankhon pe halke pare hoye. Foran ussi position mein maa ko gallay lgata aur Maa ki bhi aankh khul jati.
Maa: Ohh uth gya mera beta! leet jao aram karo.
Akram: Nahin maa, main ab theek hon.. Tension nah lein. aap apni halat dekhein. soo jayein aram karein.
Maa: Lekin Beta... woh...
Akram: (baat kaatty hoye) koi beta weta nahi. Aap aram karein ja kar, nahi tou main naraz ho jaounga.
Maa: (dhemi awaz mein) achhaaa maa ki jaan... (she smiled and said) u know tumhare baba bhi aise hi karty thy. In mamlon mein meri aik nahi sunty thy.
Akram: Akhir beta jou hoon unka.. chalein boht baatein ho gyi aap jayein aram karein. Main school ke liye ready ho jata hon.
Maa: Aaj tum school nahin jaogy. tabyat theek nahin..
Akram: Nahi maa aaj chutti nahi kar sakta Sir.Haider se wada kiya tha ke ab se focused rehna hai aur waise bhi 2 test bhi hai. I wanna show my class that King is back! Tabyat theek hai ab meri woh bas waqti tha aur nashty ki tension nah lein omelet aur bread tou bna hi leta hon.
Maa: Chalo theek hai.. Magar doodh peena nah bhoolna.
Akram: Ok Maa.. Nahi bhulta..
Akram uthta aur maa ko room mein le jata, Woh Maa ko kuchh na btata un visions ke baray mein kyun ke usse abhi khud samjh nahi aa rahi thi woh sab kya tha. Akram nashta banata aur saath T.V par news lgata. News reporter "aaj mausam Abar-Alood rahayga aur kai shehron mein teez hawao ke saath Mosla-dhaar barish ka bhi imqaan hai" Akram "loh! aaj phir barish, pta nahi mausam ko kya hogya hai. November mein tou kabhi itni barein aur aandhi nahi aayi" nashta banata aur table par beth kar nashta karta aur doodh peeta, itne mein bus aa jati.
Ab Akram sochne lag jata ke bus par jaoun yah cycle pe. Par akhir bus ka intekhaab hi karta. Maa ko awaaz dete hoye "Maa main jaa raha hoon KHUDA HAFIZ". Ghar ka door bandh karta aur bus par charh jata. Zoya bhi bus mein majood thi par Akram usse na dekhta kyun ke woh apni gehri soch mein Ghum hota aur humesha wali seat par beth jata. Bus ab Hamza ke ghar ke bahar rukti. 5-minute ho jaty par Hamza nahi aata. Akram bus-driver ko awaaz deta ke shyd woh aaj bike par gya hai aap chalein. Bus dubara chal parti. Kafi bache aaj bus par thy kyun ke mausam ajeeb saa tha. Bahar andeera hogya Kallay seyaah badalon ki wajah se. Akhir bus school pohnch jati. Akram bus se utarta aur asaman ki taraf dekhta ke kya ajeeb mausam hain aaj sab khair hi ho.
