Time ke saath Naina aur Aarav aur close ho gaye.
Har baat share karna… ek dusre ko samajhna… bina bole bhi sab samajh jaana…
Naina ko samajh nahi aa raha tha — ye dosti hai ya kuch aur.
Ek din Aarav ne poocha,
"Agar main tumhari life se chala jaun toh?"
Naina ne bina soche kaha, "Main toot jaungi."
Dono chup ho gaye.
